Dopler Prabhav
Ab pichcok ko punah dheela karake nali T mei jal ke talk o
or niche girne dete hai jab vayu stmabh ki lambayi badhkar pehli sthiti ki
lambayi se lagbhag teen guni ho jati hai toh punah dhjavani sunayi deti hai yah
anunad ki dusri awstha hai.
Dhavani mei Dopler Prabhav
Jab koi dhavani strit apne sthan par sthir rehte huye
dhavani utpann karta hai toh usse kuch duri par kahde shrota ko usey aakarti ki
dhavani sunayi deti hai jis avarti ki havani strot se utapnn hoti hai parantu jab
dhavani strot athwa shrita athwa dono gati ko awstha mei hoti hai toh shrota ko
dhavani ki aavarti badly huyi pratit hoti hai yadi is gati ke falsaroop strit
ttaha shrita ke beech ki duri ghatt rahi hoti hai toh shrita ko strit ki
aavarti badhi huyi pratit hoti hai iske viprit yadi unke beech ki duri badh
rahi hoti hai toh shrita ko aavarti ghati hui pratit hoti hai strit ttaha
shrota ki sapeksh gati ke karan strot ki avarti mei hone wale aabhasi
parivartan ko Doppler prabhav kaha jata hai kyoki Doppler ne hi sann 1842 mei
is perabhav ki vyakhya kit hi.
Udharan k eke liye jab ham plateform par khade hote hai
tatha dur se sitti deta hua engine platform ki or aata hai toh hame sitti I
dhavani teekshan arthat ucchi aavrti ki pratit hoti hai parantu jab engine
plateform ko paar karke hamse dur jane lagta hai toh veh dhavani hame moti
arthat niche aavarti ki pratit hone lagti hai isey prakar yadi ham motor mei
bethkar kisi mil ki or ja rahe ho jiska sayran baj raha ho toh sayran ki
dhavanuj teekshan pratiti hoti hai parantu yadi ham ,il se dur ja rahe ho toh
vahi dhavani hame apekshakrat moti pratit hone lagti hai.
Doppler ke prabhav ka adhyan ham teen bhago mei karengy
kevel dhavani strit ki gati ka prabhav kebel shrota ki gati ka prabhav eksath
dono ki gatiyo ka prabhav.
Doppler prabahv ke anuprayog
Doppler prabhav ka upyog vayu mei udte vimaan ke veg ka
anuman lagane mei kiya jata hai redar station se vayu mei udte vimaan ki or
redar tarangy bheji jati hai tatha viman se paravartit hokar lotne wali tarangy
station par prapt ki jati hai yadi viman redar station ki or aa raha hota hai
toh vimann se paravartit redar tarango ki aavartai badh jati hai or yadi veh
station se dur jar aha hai toh parvartit tarango ki aavrati ghatt jati hai
station se viman ki or bheji gayi tatha viman se station par prapt ki gayi
tarango ki aavaratiyo ke antar se viman ke veg ki gannna ki ja sakti hai theek
isey prakar jal ke bheetr chalti pandubbi ka veg gyat kiya ja sakta hai is
prakar ki gannao ka yuddh ke dino mei bahut mehtav hota hai.
Prakash mei Doppler prabhav
Dooppler prabhav prakash tarango mei behut mehtavpurn hai
yadi koi prakash strit kisi prekshak ki or aa raha hai toh prakah ki aabhasi
aavarti badh jati hai arthat tarangdhrye ghatt jati hai atah iskik sperctami
rekhaye spretam ke bengani bhag ki or ko visthapit ho jati hai iske viprit yadi
prakash strot prekshak se dur ja raha hai tojh spertami rekhaye spertam ke laal
bhag ki or ko viisthapit ho jati hai prakash strit ttaha prekjshak ki sapeksh
gati ke karan praksh ki aavartai athwa tarangdhrye mei prekshit aabhasi
parivartan ko praksh mei doopler prabhav kaha jata hai.
Dhavani tatha prakash ke doopler prabhavo mei ek mukhye
antra hai dhavani mei Doppler prabhav kevel shrita ttaha dhavani strit ke bech
sapeksh gati par hi nirbhar nahi karta .
0 Comments